masih-e-waqt tum batao kya hua
zaban pe ye kasila-pan kahan se aa gaya
zara si der ke liye palak jhapak gai
to rakh kis tarah jhaDi
suna hai dur des se
kuchh aise wirus hamare sahilon pe aa gae
jin ke tab-kar-e-sahar ke liye
amrit aur zahr ek hain
ab kisi ke darmiyan koi rabta nahin
kisi dawa ka dard se koi wasta nahin
hum hawa ki mauj mauj se
dard khinchte hain chhoDte hain sans ki tarah
lahu ki ek ek bund zaKHm ban gai
ragon mein jaise bad-duaen tairti hain
phans ki tarah
masih-e-waqt tum batao kya hua
dew ilm ke charagh ka
kyun bhala biphar gaya
dhuan dhuan bikhar gaya
suno ki chiKHta hai kaam kaam
koi kaam
jao sahilon ki samt ho sake to rok lo
is nae azab ko
naKHuda ki aaKHiri shikast tak
samundaron ki ret chhante raho
Nazm
Wirus
Qazi Saleem