اردو हिंदी
Virani | Shaahi Shayari
virani

Nazm

Virani

Qamar Jameel

;

shahr ki galiyan ghum rahi hain mere qadam ke sath
aise safar mein itni thakan mein kaise kaTegi raat

KHwab mein jaise ghar se nikal ke ghum raha ho koi
raat mein aksar yun bhi phiri hai tere liye ek zat

chand bagule KHushk zamin par aur hawaen tez
is sahra mein kaisi bahaaren kaisi bhari barsat

dhum machaen basti basti soch rahe the aap
dekha kin kin viranon mein le ke gae haalat

din mein qayamat gham-KHwaron ki raat mein yaad-e-yar
chand nafas ki mohlat mein bhi itne kaThin din raat