baTan aaghaz ka dabte hi main ne
raston mein ja-ba-ja bikhri hui quwwat
har ek andaz se KHud mein unDeli thi
kitaben aur sakhiyan KHwab aur manzar
sahifon ke sunahre harf sab jholi mein Dale the
KHabar thi jis muhim-jui pe nikli hun
yahan chalna musalsal rah daldal aur tawanai mera wahid hawala hai
baDi muddat hui chalte hue mujh ko
chaTTanen hain aur un ke baad ek kala samundar hai
hare ude jaziron se bhara hai
jin pe panw rakhti jaun to samundar kuchh nahin kahta
ye dekho ek pal hai
taKHta taKHta girta jata hai
use girne se pahle par karna hai
ye taKHte to bahana hain
mere panw hawa mein hain
ab aage saikDon shaKHa koi chhitnar hai
jis ki sabhi shaKHon se unchi shaKH par makkar dushman hai
use ya marna hai ya mujhe bach kar nikalna hai
ye agla marhala hai
ab wo dushman du-badu hai war karta hai
main aundhe munh na-jaane kin nashebon mein luDhakti hun
uchhaala KHud ko deti hun
to ek baalisht se har bar rahti hun
nahin main is muhim-jui se ghabrai nahin hun
fikr bas ye hai
mere raste mein ab quwwat nahin hai
bas masafat hai
Nazm
Wideo game
Saima Esma