to jab sat sau aaThwin raat aai
to kahne lagi shaharzad:
ai jawan-baKHt
shiraaz mein ek rahta tha nai;
wo nai to tha hi
magar us ko baKHsha tha qudrat ne
ek aur nadir giran-tar hunar bhi
ki jab bhi
kisi mard-e-dana ka zehn-e-rasa
zang-aluda hone ko aata
to nai ko ja kar dikhata
ki nai dimaghon ka mashhur mahir tha
wo kasa-e-sar se un ko alag kar ke
in ki sab aalaishen pak kar ke
phir apni jagah par lagane ke fan mein tha kaamil
KHuda ka ye karna hua
ek din
is ki dukan se
iran ka ek wazir-e-kuhan-sal guzra
aur is ne chaha
ki wo bhi zara
apne uljhe hue zehn ki
az sar-e-nau safai kara le
kiya kasa-e-sar ko nai ne KHali
abhi wo use saf karne laga tha
ki nagah aa kar kaha ek KHwaja-sara ne:
main bheja gaya hun janab-e-wazarat-e-panah ko bulane
aur is par
sarasima ho kar jo uTTha wazir ek dam
rah gaya pas dallak ke maghz us ka
wo be-maghz sar le ke darbar-e-sultan mein pahuncha
magar dusre roz is ne
jo nai se aa kar taqaza kiya
to wo kahne laga:
haif
kal shab paDosi ki billi
kisi rauzan-e-dar se ghus kar
janab-e-wazarat-e-panah ke
dimagh-e-falak-taz ko kha gai hai
aur ab hukm-e-sarkar ho to
kisi aur haiwan ka maghz le kar laga dun
to dallak ne rakh diya
daniyal-e-zamana ke sar mein
kisi bail ka maghz le kar
to logon ne dekha
janab-e-wazarat-e-panah ab
farasat mein
danish mein
aur karobar-e-wazarat mein
pahle se bhi chaq-o-chauband-tar ho gae hain
Nazm
Wazire chunin
Noon Meem Rashid