logo mujhe salam karo main wazir hun
gardan ke sath KHud bhi jhuko main wazir hun
gardan mein haar Dal do main jhuk sakun agar
nare bhi kuchh buland karo main wazir hun
tum hathon-hath lo mujhe daure par aaun jab
motor ke sath sath chalo main wazir hun
likkhe hain shairon ne qasaed mere liye
ek aadh nazm tum bhi kaho main wazir hun
jo mujh se kahne aao KHabar-dar mat kaho
jo kuchh main kah raha hun suno main wazir hun
mazur hun main apni wazarat se be-tarah
tum tarah-dar mujh ko kaho main wazir hun
be-shak hai barhami si meri guftugu ke beach
lekin adab se baat suno mein wazir hun
main wo nahin ki yusuf be-karwan phirun
mera julus le ke chalo main wazir hun
aKHbar walo soch samajh kar karo sawal
jo shisha mere munh na lago main wazir hun
mujh se qarabaton ko bas ab bhul jao tum
ai mere bhai band gadho main wazir hun
mujh ko to mil gai hai wazarat ki zindagi
marte ho tum to jao maro main wazir hun
Nazm
Wazir ka farman
Shaukat Thanvi