ye bahut rulati hai raat-bhar jagati hai
chain lene deti hai aur na rone deti hai
yun to ek muddat se
tum se hum hain begana
sath chalte rahne ka na to koi wada hai
phir bhi dil mein jaane kyun ek KHalish si rahti hai
dil mein ye KHayal aksar aa ke Thahar jata hai
sath sath chalte hum zindagi ke raston par
har safar hansi hota tum jo mere sath hote
lekin ai mere rahbar
ab to KHauf us ka hai KHwab mein jo aae tum
aur be-KHayali mein nam jo liya hum ne
sab hi chaunk jaenge mustaqil sawalon se
la-jawab kar denge
is liye mere jaana
wasl ki jo KHwahish hai
is ko bhul jati hun
aur tumhaari yaadon se
ab widaa leti hun
Nazm
Wasl ki jo KHwahish hai
Asra Rizvi