اردو हिंदी
Wasiyyat | Shaahi Shayari
wasiyyat

Nazm

Wasiyyat

Muzaffar Hanfi

;

guDDu beTe! rote kyun ho?
qissa sunne ki KHwahish hai?

achchha apne aansu ponchho
lo hum ek qissa kahte hain!

iksaTh sal guzarte hain
afghanon ki ek basti mein 'laDDan-KHan' ne janam liya tha

darogha ke beTe the wo nana un ke maulana the
khata pita ghar tha un ka

'laDDan-KHan' achchhe bachche the (bilkul waise jaise tum ho)
un ke ghar wale bhi un se utni hi ulfat karte the jitni hum tum se karte hain

jab wo thoDe baDe hue to
nana un ko maktab mein daKHil kar aae

'laDDan-KHan' ne paDhna sikha
likhna sikha, laDna sikha (aKHir wo afghani bhi the)

chaudah pandrah barson hi mein 'laDDan-KHan' ko ye be-fikri ras na aai
nana aur abbu donon ne laDDan-KHan se kaTTi kar li

(marna jina tum kya samjho)
tab majburan

'laDDan-KHan' ne paDhna chhoDa
apne ghar se nata joDa

Tuition karte lashtam-pashtam apne ghar ka KHarch chalate
un ki amman ko raja se thoDi si pension milti thi, kaam kisi surat chal jata

man ne un ki shadi kar di
lekin biwi KHush-qismat thi jis ne jald hi kaTTi kar li

guDDu beTe
honi ho kar hi rahti hai

maktab mein rah kar 'laDDan-KHan' ghazlen kahna sikh chuke the
afghani hone ke nate logon se Darte bhi kam the

apni ghazlon mein nazmon mein tikhi tikhi baaten kahte, logon par phabti kaste the
(apne hon ya ghair sabhi par)

sach kahne, sach likhne mein bak na karte (ye to ek nasha hota hai)
bas phir kya tha apne ghair sabhi un ke dushman ban baiThe

Tuition chhuTi, demini ki demeni se munshi-giri
dar dar bhaTke baz na aae

kaDwi tikhi ghazlen nazmen kah kah kar ambar lagaya
itne se bhi chal sakta tha

lekin wo to raja-ji par phabti kas kar ammi ki pension le Dube
(bubu in ki kya aTki thi raja jo kuchh bhi karta tha, laDDan KHan se kya matlab tha?)

ammi be-chaari is gham mein kuDh kuDh kar pardes sidhaarin (yun samjho bas ruTh gain wo 'laDDan-KHan' se)
lekin beTa! marne mein paise lagte hain 'laDDan-KHan' ne ghar bhi becha

aage pichhe koi nahin tha ab to 'laDDan-KHan' khul khele
sachchi sachchi baaten kah kar kaDwi tikhi ghazlen likh kar zahr-aluda nazmen paDh kar

ek sire se sab logon ko dushman-dar-dushman kar baiThe
sari duniya dushman ho to 'laDDan-KHan' bachte bhi kaise

sab ne mil kar ghera Dala
aage dushman pichhe dushman baen dushman upar dushman niche dushman

'laDDan-KHan' mein aql nahin thi, apni nazmen sari chizen chhoD-chhaD kar
chupke se mar jaane hi ko behtar jaana!

guDDu mere pyare beTe!
mere raj-dulare beTe!

dekho tum ghazlen mat kahna!
beTe tum nazmen mat likhna!

likhna hi paD jae to phir sach mat likhna!
dekho beTa!

sach mat likhna!!
sach mat likhna!!!