اردو हिंदी
Waqt waqt ki baat hai | Shaahi Shayari
waqt waqt ki baat hai

Nazm

Waqt waqt ki baat hai

Rashid Aazar

;

wahi hum the ki us shahar-e-sukun mein
rat-jagon ki dhum thi hum se

wahi hum hain ki shahr-e-be-aman ki bhiD mein
KHud apni tanhai pe hairan hain

hamara jabr-e-majburi
hamein jab sabr aamada banata hai

to aankhen is qadar shoale ugalti hain
ki KHamoshi bhi ek

shor-e-fughan malum hoti hai