wo chalta raha
is kurra-e-arz ki gend par
ek panw rakkhe
dusra panw is ka KHala meinâ¦
gend aage baDhate hue
tawazun bhi qaem raheâ¦
qayamat ko Tale hueâ¦
wo chalta raha
zist aur maut ke daere khinchtaâ¦
ek hi samt mein
ek raftar se
kisi bazigar
ek circus ke naT ki tarah
chand suraj sitaron ke gole
kabhi donon hathon se un ko uchhaale
kabhi apne shanon pe
sar par sambhaale hue
kabhi gunj mein taliyon ki
be-niyazana chalta ho
hath patlun ki
donon jebon mein Dale hueâ¦
Nazm
Waqt
Mushaf Iqbal Tausifi