waqt ki ret pe suraj ne lahu thuka phir
saaten koDa ke daghon mein naha kar niklin
machhliyan lams ke hathon mein ghaDi bhar na rukin
haDDiyan KHwab ke kutton ne chabain shab bhar
hijraten apne muqaddar mein lahu-chehra hain
kaun KHamyaza bhugatne ki salaKHen chaTe
kaun zanjir ke halqon mein samundar bandhe
kaun lafzon ke mazaron pe nae phul rakhe
kaun sayon ko talashe yahan qindil liye
abrha kaba ki diwar ke sae mein jale
kanch ki chuDiyan bajti hain lahu ki tah mein
Nazm
Waqt ki ret pe
Adil Mansuri