main tujhe DhunDne nikla ghar se
aur apna hi pata bhul gaya
ab na wo tu hai na main
na wo rasta hai na peD
na wo mandir hai
na kuTiya
na charagh
ab na wo tu hai na main
aur wo log kahan kaise hain
main jinhen bhul ke KHush hun
jo mujhe yaad bhi aaen
kaisi diwar hai ye nim-faramoshi ki
aao diwar giraen
aur agar ye na gire
aao DhunDhen
yahin honge kahin rima jauzafâ¦
main tere kurte ka daman thamun
aao hum rail banaen
aao hum rail ko pichhe le jaen
Nazm
Waqt ki rail gaDi
Mushaf Iqbal Tausifi