اردو हिंदी
Waqt ki baat | Shaahi Shayari
waqt ki baat

Nazm

Waqt ki baat

Ahmad Rahi

;

waqt hairan nigahon se mujhe dekhta hai
dekh kar haal ko shayad use mazi ka KHayal aata hai

waqt jab bhi kisi zartab o hasin mazi ke gahnae hue
haal se do-chaar hua kanp uTha

us ko malum nahin hai mazi
kis tarah haal ke sanche mein bigaD jata hai

tu magar jaanti hai
talKHi-e-zist damakte hue shadab o jawan chehron ko

kaise afsurda-o-pazhmurda bana deti hai
kisi tarah sham-e-KHizan subh-e-bahaaran bikhar jati hai

tu mujhe dekh kar hairan na ho
main wahi hun tu jise hasil-e-ummid kaha karti thi

main wahi hun tu jise pahle-pahal dekh ke chaunk uTThi thi
aur ab dekh ke ye haal mere mazi ka hairan hai tu

dekh hairan na ho
waqt hairani pe majbur hai malum nahin hai is ko

mazi kyun haal ke sanche mein bigaD jata hai
aur tu waqt nahin