اردو हिंदी
Waqt ki aankhen | Shaahi Shayari
waqt ki aankhen

Nazm

Waqt ki aankhen

Chandrabhan Khayal

;

lamha lamha KHunin KHanjar
sadiyan jibhen hain sanpon ki

ghaT pe baiThi pyas ki dewi
aur jadugar

waqt ki aankhen dekh rahi hain
murda ghar ke ek kamre ke tez dhuen mein

ek kunwari nangi aurat
chaT rahi hai

apne hi be-rang lahu ko
man ki aankhen khol ke dekhun to kya dekhun

sab to suli par laTka hai
sab kuchh luTa luTa lagta hai

koi chupke se kahta hai
nangi aurat ki jaanghon mein sanp Dal kar main so jaun

lekin koi chiKH raha hai
waqt ki aankhen dekh rahi hain

lamha lamha KHunin KHanjar
sadiyan jibhen hain sanpon ki