zindagi bahut masruf ho gai hai
jo KHwab mujhe aaj dekhna tha
wo agli paidaish tak multawi karna paDa hai
bachpan mein lage zaKHm par marham rakhne ke liye
doctor ne abhi sirf wada kiya hai
kal ke liye sansen kamate hath
subh tak chae nahin pi sakte
lekin ghabrao nahin
sab ki yahi haalat hai
wo bata rahi thi
us ne apni suhag-raat tab manai
jab wo haiz ke baras guzar chuki thi
zindagi bahut masruf ho gai hai
apni sari punji bech kar
main ne chand lamhe ye kahne ke liye KHaride hain
ki jab kabhi main mar gaya
to koshish karna
mujhe agle janam se zara pahle dafna dena
Nazm
Waqt ke nam ek KHat
Zahid Imroz