hai sal-e-nau ki aamad har shaKHs ki KHushi hai
kya rang laega ye is ki nahin KHabar kuchh
main jaanta hun zalim teri ye dil-lagi hai
dil mein nahin kisi ke jo maut ka KHatar kuchh
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
aalam ka lahza lahza mein haal kya se kya hai
muflis abhi tha koi masnad-nashin abhi hai
jita koi abhi tha ab dafn ho raha hai
zalim kabhi rifaqat tu ne kisi ki ki hai
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
kahna kisi ghaDi ko apna ghalat sarasar
aalam jise hain kahte taghir ka hai maskan
tujh ko agar main samjhun Thahra ghalat sarasar
zalim laga hua hai tujh mein bala ka engine
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
the KHar-zar jis ja hai bulbulon ka maskan
allah kis ghazab ke har aan hain ye phere
thin mahfilen jahan par hai bekason ka madfan
ye hathkanDe hain tere ye hathkanDe hain tere
ai waqt-e-be-murawwat ai waqt-e-be-murawwat
Nazm
Waqt
Azeemuddin Ahmad