mujhe sanp siDhi ke
is khel se
aaj ghin aa rahi hai
mere dil ke panse pe khode gae
ye adad
mujh ko mahdud karne lage hain
bisat-e-ziyan par
mere KHwab ka reshmi azhdaha
chaal ke pairahan ko nigalne laga hai
meri jast ki siDhiyan
soKHta haDDiyon ki tarah
bhurnhuri ho ke
jhaDne lagi hain
khel hi khel mein
sabz chaukor KHane
kisi qabr ki chaar diwar ban kar
mera dam nigalne lage hain
so ai waqt!
mere muqabil khilaDi
aaj se tu bhi aazad hai
main bhi aazad hun
Nazm
Waqt bhi marham nahin hai
Sarwat Zehra