اردو हिंदी
Waqt-2 | Shaahi Shayari
waqt-2

Nazm

Waqt-2

Gulzar

;

waqt ki aankh pe paTTi bandh ke khel rahe the aankh-micholi
raat aur din aur chand aur main

jaane kaise kaenat mein aTka panw
dur gira ja kar main jaise

raushni se dhakka kha ke, parchhain zamin par girti hai!
dhayya chhune se pahle hi

waqt ne chor kaha aur aankhen khol ke mujh ko pakaD liya!!