sard raaton ki garmi
jhulaste dinon ki hawa le gai
regzaron pe
barud ki bu se jhulse hue KHushk patte
bikharne lage
chiKHte aag ugalte garajte hue
zahr-alud lahje
achanak badalne lage
pili aankhon se tarik chashme utarne lage
sare aKHbar ki surKHiyan ghaT gain
sahmi sahmi zamin apni aaghosh mein
TuTe phuTe gharaunde chhupae hue
hanpti kanpti
khel ke ek nae daur ki muntazir
apne beTon ki ginti mein masruf hai
Nazm
Waqfa
Shahid Mahuli