اردو हिंदी
Walentine-day | Shaahi Shayari
walentine-day

Nazm

Walentine-day

Ahmad Azad

;

aao aaj
dhup mein khaDe ho kar

daraKHton ko duaen den
jin ke pas hamare hisse ki thakan hai

aao aaj
KHushk dariya mein khaDe ho kar

pani ko aawaz den
aao aaj

phulon ka rang oDh kar
aawargi karen

aur takte rahen aasman ko
jahan har sham ek nai painting saji hoti hai

aao aaj
parindon ko aasman

aur mahbubaon ko pesh karen
surKH fite se bandhe dil