اردو हिंदी
Wajud | Shaahi Shayari
wajud

Nazm

Wajud

Naseem Nazish

;

batao kaun gum hua, wo ham-nafas gaya kahan
nuqush-e-pa suna rahe hain aaj kis ki dastan

ye raat, din ke silsile jo hain hamare darmiyan
hamari koi ibtida na hai hamari intiha

bas ek muhib fasla
bas ek ajib silsila

ye jo bhi kuchh nazar mein hai
safar mein hai, safar mein hai

jo raazdan-e-waqt the
unhen kahin se lao ab

sanwar den jo zindagi jo aagahi ata karen
wo be-niyaz aadmi

ki jaise koi raushni
wo hast-o-bud aashna

wo jin ka ilm la-zawal o be-karan
na gum hain wo na dur hain

jo dil ki aankh band ho to is mein un ki kya KHata
batao kaun gum hua wo ham-nafas gaya kahan

nuqush-e-pa suna rahe hain aaj kis ki dastan