اردو हिंदी
Wajud karb se aage | Shaahi Shayari
wajud karb se aage

Nazm

Wajud karb se aage

Neel Ahmed

;

main jauhar par muqaddam hun
mere paon ki beDi ye zamana ban nahin sakta

na hi mahdud hun aur na-gahani bhi nahin hun main
muqaddar tha mera mazi

magar main haal, mustaqbil ka sauda sar mein rakhti hun
main hi to markazi kirdar hun apni kahani ka

asasi kuchh nahin hai
mantiqi na jauhari kuchh hai

main KHud mein Dub kar tashkil-e-nau karti hun KHud apni
mein KHud taKHliq karti hun

makan ke mani-o-mafhum
sachchai mujh se phuTi hai

main sachchi hun magar duniya ye jhuTi hai