mujhe wahshat ka matlab kab pata tha aaj se pahle
kabhi aisa hua ye dil zara ghabra gaya
to kah diya ki dil bahut wahshat-zada hai
aur aisa bhi hua
gar saKHt lahje mein kisi ne baat ki
ya baat rad kar di
na koi kaam ho ya na nind aai
to phir bhi kah diya wahshat bahut hai
mujhe ye lafz achchha hi bahut lagta tha
par aise nahin dekho
ki main ne us ka matlab aaj samjha hai
main gum-sum to nahin chup hun
meri sari tawajjoh mere hathon par lagi hai
mere naKHun yun hatheli mein khube hain
dil ye kahta hai
ki meri ungliyan is jild ke niche dabe
ek iztirabi se KHala ko pur karen
ya phaD Dalen ab
kai lahren si bechaini se yun karwaT badalti hain
mera dil chahta hai ye
ki main khinch kar
ajab wahshat ke maqnatis se juD kar
KHud apne kanpte hathon ki poron se nikal jaun
magar main apne sine se ubhar kar
aa aTakti hun halq mein
KHushk hai jo pyas se
un aansuon se
jo nahin bante
yahan main kahan jaun
na aage aa sakun main aur na wapas ja sakun main ab
main jaise band hun shishe ke Dabbe mein
main apne KHwab se apne halq se
jis qadar koshish karun
bahar nikalne ki ubharne ki
to mera sans rukta hai
koi aawaz aati hai
kahin andar hi lekin Dub jati hai
mujhe sab kahin par bhi nahin hoti
kisi ko main nazar aati hun par shayad
use bhi apne andar se nikalne ka koi rasta nahin milta
Nazm
Wahshat
Ambarin Salahuddin