Dhalte Dhalte
ek rupahle manzar ne kuchh socha palTa
pagDanDi sunsan paDi thi
maTyali aur sard hawaen
hath jhulati shaKHen
rukhe sukhe patte
tanha peD pe baiThe baiThe
chaTaKH rahe the
TuT rahe the
KHak uDati pagDanDi par
sham samay ka dhundla baadal
jhukne laga tha
Dhalte Dhalte
ek rupahle manzar ki un bhed bhari
aankhon mein koi
jugnu chamka tara TuTa wahm nahin hai
aaj un khoi khoi
bojhal aankhon mein
koi jugnu chamka
tara TuTa
lahza bhar ko
wahm nahin hai
Nazm
Wahm nahin hai
Gulnaz Kausar