bhuri aankhon wali laDki
tujh se pahle mere pas bhi aati thi
apne ghar ki ek ek baat sunati thi
mehndi aur wismay se aari kale baalon wali ammi
jalte charaghon jaise aankhon wali bahnon
un ke sangtaron ki phankon jaise honTon
dudh ke pyalon jaise ujle galon
raushan jismon
sarw-qadon ke qisse sunaya karti thi
mere ghar mein wo KHurshid ki surat roz ubharti thi
mujh se meri nazmen git aur ghazlen sunti rahti thi
sweater bunti rahti thi
akasr meri ghazlen ga kar mujhe sunaya karti thi
chhaya ki rasiya thi wo aur chhaya rachaya karti thi
Tuk Tuk dekha karti thi
ThanDi aahen bharti thi
aisa zahir karti thi
jaise mujh par marti thi
lanbi palkon wali laDki
mujh se pahle ek sitar-nawaz ke pas bhi jati thi
us ke rasile naghmon par nagan ki tarah lahraati thi
us ki tanon aur palTon par dhuan dhuan ho jati thi
meinDh jidhar le jati thi us samt rawan ho jati thi
git ke lai baDhte hi tund bagula ban jati thi
takte takte goya ek hayula sa ban jati thi
sampar dayan panw zamin par mar ke wo ruk jati thi
ruk kar yun lahra kar girti
jaise koi kanch ka pyala
hath se chhuTe
chhan se TuTe
gir kar uThti
uTh kar yun jhuk jati thi
jaise koi ban-basi dewi
karmon ka phal bhog chuki ho
dewta ke charnon mein jhuki ho
masti mein Dag bharne wali
sambhal sambhal pag bharti thi
ThanDi aahen bharti thi
aisa zahir karti thi
jaise us par marti thi
takte hi takte wo ek hayula sa ban jati thi
us ke rasile naghmon par nagin ki tarah lahraati thi
lambi choTi wali laDki sab ko dhoka deti hai
mausiqi ki rasiya mausiqaron ko Das leti hai
Nazm
Wahi laDki
Khatir Ghaznavi