faqat KHali pinjra badan ka paDa tha
aur nim-wa in kiwaDon ki har charcharahaT mein
hairaniyan bolti thin
zamin ki faza se
mujhe kis ne bahar Dhakela
falak tak meri dastaras kyun nahin thi
na jaane main kab tak KHala mein bhaTakti rahi thi
wahin par
munaqqash darichon mein
sarsabz belen sutunon se lipTi hui thin
chamakte hue chhat ke fanus ki raushni mein
belon ke patton ki aankhon mein Thahri nami
jhilmilane lagi thi!
magar sab ki nazren
saji Tabalon par jami thin
kisi ko KHabar kab hui thi
wahan mein nahin thi
Nazm
Wahan main nahin thi
Arifa Shahzad