aaj wo aaKHiri taswir jala di hum ne
jis se is shahr ke phulon ki mahak aati thi
jis se be-nur KHayalon pe chamak aati thi
kaba-e-rahmat-e-asnam tha jo muddat se
aaj us qasr ki zanjir hila di hum ne
aag, kaghaz ke chamakte hue sine pe baDhi
KHwab ki lahr mein bahte hue aae sahil
muskuraate hue honTon ka sulagta hua karb
sarsaraate hue lamhon ke dhaDakte hue dil
jagmagate hue aawezan ki mubham fariyaad
dasht-e-ghurbat mein kisi hajla-nashin ka mahmil
ek din ruh ka har tar sada deta tha
kash hum bik ke bhi is jins-e-giran ko pa len
KHud bhi kho jaen par is ramz-e-nihan ko pa len
aql us hur ke chehre ki lakiron ko agar
aa miTati thi to dil aur bana deta tha
aur ab yaad ke is aaKHiri paikar ka tilism
qisa-e-rafta bana zist ki maton se hua
dur ek khet pe baadal ka zara sa TukDa
dhup ka Dher hua dhup ke haton se hua
us ka pyar us ka badan us ka mahakta hua rup
aag ki nazr hua aur inhi baaton se hua
Nazm
Wafa kaisi?
Mustafa Zaidi