sach hai hamin ko aap ke shikwe baja na the
be-shak sitam janab ke sab dostana the
han jo jafa bhi aap ne ki qaede se ki
han hum hi karband-e-usul-e-wafa na the
aae to yun ki jaise hamesha the mehrban
bhule to yun ki jaise kabhi aashna na the
kyun dad-e-gham hamin ne talab ki bura kiya
hum se jahan mein kushta-e-gham aur kya na the
gar fikr-e-zaKHm ki to KHata-war hain ki hum
kyun mahw-e-madh-e-KHubi-e-tegh-e-ada na the
har chaaragar ko chaaragari se gurez tha
warna hamein jo dukh the bahut la-dawa na the
lab par hai talKHi-e-mai-e-ayyam warna 'faiz'
hum talKHi-e-kalam pe mail zara na the
Nazm
WasoKHt
Faiz Ahmad Faiz