yahan kya hai barahana tirgi hai
KHala hai aahaTen hain tishnagi hai
yahan jis ke liye aae the wo shai
kisi qimat pe bhi milti nahin hai
jo apne sath hum lae the wo bhi
yahin kho jaega gar ki na jaldi
chalo jaldi chalo apne makan ke
kiwaDon ki jabin par sabt hogi
koi dastak abhi bite dinon ki
Nazm
Wapsi
Shahryar

