اردو हिंदी
Wapsi | Shaahi Shayari
wapsi

Nazm

Wapsi

Ahmad Faraz

;

us ne kaha
sun

ahd nibhane ki KHatir mat aana
ahd nibhane wale aksar

majburi ya mahjuri ki thakan se lauTa karte hain
tum jao

aur dariya dariya pyas bujhao
jin aankhon mein Dubo

jis dil mein utro
meri talab aawaz na degi

lekin jab meri chahat
aur meri KHwahish ki lau

itni tez aur itni
unchi ho jae

jab dil ro de
tab lauT aana