maut ki pur-sukut basti ko
de ke ek zindagi ka nazrana
log apne gharon ko lauTe hain
sab ke chehre hain fart-e-gham se niDhaal
sab ki aanhken chhalak gai hain aaj
phir bhi sarhad mein shahr ki aa kar
hanste bachchon ko khelta pa kar
dekh kar zindagi ke hangame
aisa mahsus kar rahe hain sab
jaise afsurdagi ke sahra se
koi aawaz de ke kahta ho
maut ke intizar mein jina
maut se bhi baDi aziyyat hai
zindagi lakh aarzi ho magar
zindagi jagti haqiqat hai
Nazm
Wapsi
Aftab Shamsi