tumhaari qabr par
main fatiha paDhne nahin aaya
mujhe malum tha
tum mar nahin sakte
tumhaari maut ki sachchi KHabar jis ne uDai thi
wo jhuTa tha
wo tum kab the
koi sukha hua patta hawa se mil ke TuTa tha
meri aankhen
tumhaare manzaron mein qaid hain ab tak
main jo bhi dekhta hun
sochta hun
wo wahi hai
jo tumhaari nek-nami aur bad-nami ki duniya thi
kahin kuchh bhi nahin badla
tumhaare hath meri ungliyon mein sans lete hain
main likhne ke liye
jab bhi qalam kaghaz uThata hun
tumhein baiTha hua main apni hi kursi mein pata hun
badan mein mere jitna bhi lahu hai
wo tumhaari
laghzishon nakaamiyon ke sath bahta hai
meri aawaz mein chhup kar
tumhaara zehn rahta hai
meri bimariyon mein tum
meri lachaariyon mein tum
tumhaari qabr par jis ne tumhaara nam likha hai
wo jhuTa hai
tumhaari qabr mein main dafn hun
tum mujh mein zinda ho
kabhi fursat mile to fatiha paDhne chale aana
Nazm
Walid ki wafat par
Nida Fazli