sindh ki wadi pe hai kali ghaTa chhai hui
burqa oDhe ek dulhan baiThi hai sharmai hui
muntazir barish ke hain makki ke aur shaali ke khet
tishnagi se KHosha ki surat hai murjhai hui
aaj ganderbal hua hai us ka manzur-e-nazar
us ke sar par kya ghaTa phirti hai manDlai hui
sindh ke nale ki aahon ka dhuan shayad uTha
kaisi tariki hai sath-e-ab par chhai hui
qasid-e-abr aa raha hai le ke han paigham-e-faiz
bargah-e-ezdi mein kis ki shunawai hui
su-e-mashriq hai sar-e-kohsar par barish ka zor
rahmat-e-bari hai goya josh par aai hui
ai 'humayun' faiz-e-barish se khule Dal ke kanwal
kyun tere dil ki kali hai aaj murjhai hui
Nazm
Wadi-e-sindh
Shah Deen Humayun