did hi did hai ai umr-e-rawan kuchh bhi nahin
ye jahan kitna hasin hai ye jahan kuchh bhi nahin
ye tabassum ye takallum ye tamasha ye nigah
yun to sab kuchh hai yahan aur yahan kuchh bhi nahin
tere abru se siwa wo nigah-e-tishna-e-KHun
tir jab nikla kaman se to kaman kuchh bhi nahin
umr ke fasle tai kar na saka jazba-e-shauq
KHun-e-dil kuchh bhi nahin qalb-e-tapan kuchh bhi nahin
DhunDhiye chal ke kahin umr-e-guzishta ka suragh
kashti-e-dil ke liye sail-e-zaman kuchh bhi nahin
in nazaron mein nazar apni bhi jaanib 'masud'
wadi-e-gul mein ba-juz dil ka ziyan kuchh bhi nahin
Nazm
Wadi-e-gul
Masud Husain Khan