waqt ke dariya mein uTThi thi abhi pahli hi lahr
chand insanon ne li ek wadi-e-pinhan ki rah
mil gai un ko wahan
aaghosh-e-rahat mein panah
kar liya tamir ek mausiqi o ishrat ka shahr
mashriq-o-maghrib ke par
zindagi aur maut ki farsuda shah-rahon se dur
jis jagah se aasman ka qafila leta hai nur
jis jagah har subh ko milta hai ima-e-zuhur
aur bune jate hain raaton ke liye KHwab ke jal
sikhti hai jis jagah parwaz hur
aur farishton ko jahan malta hai aahang-e-surur
gham-nasib ahrimanon ko girya-e-ah-o-fughan
kash batla de koi
mujh ko bhi is wadi-e-pinhan ki rah
mujh ko ab tak justuju hai
zindagi ke taza jaulan-gah ki
kaisi be-zari si hai
zindagi ke kohna aahang-e-musalsal se mujhe
sar-zamin-e-zist ki afsurda mahfil se mujhe
dekh le ek bar kash
us jahan ka manzar-e-rangin nigah
jis jagah hai qahqahon ka ek daraKHshanda wafur
jis jagah se aasman ka qafila leta hai nur
jis ki rifat dekh kar KHud himmat-e-yazdan hai chur
jis jagah hai waqt ek taza surur
jis jagah ahrimanon ka bhi nahin kuchh iKHtiyar
mashriq-o-maghrib ke par
Nazm
Wadi-e-pinhan
Noon Meem Rashid