is se pahle ki teri chashm-e-karam
mazarat ki nigah ban jae
is se pahle ki tere baam ka husn
rifat-e-mehr-o-mah ban jae
pyar Dhal jae mere ashkon mein
aarzu ek aah ban jae
mujh pe aa jae ishq ka ilzam
aur tu be-gunah ban jae
main tera shahr chhoD jaunga
is se pahle ki sadgi teri
lab-e-KHamosh ko gila kah de
main tujhe chaaragar KHayal karun
tu mere gham ko la-dawa kah de
teri majburiyan na dekh sake
aur dil tujh ko bewafa kah de
jaane main be-KHudi mein kya puchhun
jaane tu be-ruKHi se kya kah de
main tera shahr chhoD jaunga
chaara-e-dard ho bhi sakta tha
mujh ko itni KHushi bahut kuchh hai
pyar go jawedan nahin phir bhi
pyar ki yaad bhi bahut kuchh hai
aane wale dinon ki zulmat mein
aaj ki raushni bahut kuchh hai
us tahi-damani ke aalam mein
jo mila hai wahi bahut kuchh hai
main tera shahr chhoD jaunga
chhoD kar sahil-e-murad chala
ab safina mera kahin Thahre
zahar pina mera muqaddar hai
aur tere honT angbin Thahre
kis tera tere aastan pe rukun
jab na panw tale zamin Thahre
us se behtar hai dil yahi samjhe
tu ne roka tha hum nahin Thahre
main tera shahr chhoD jaunga
mujh ko itna zarur kahna hai
waqt-e-ruKHsat salam se pahle
koi nama nahin likha main ne
tere harf-e-payam se pahle
toD lun rishta-e-nazar mein bhi
tum utar jao baam se pahle
le meri jaan mera wada hai
kal kisi waqt sham se pahle
main tera shahr chhoD jaunga
Nazm
Wada
Saifuddin Saif