main ne dekhi nahin
KHwab bunti hui ungliyan
jin ka lams-e-gudaz
waqt ke sard galon se bahta hua
mere honTon pe aaya
to sadiyon ki namkiniyan sang-basta dilon ke samundar mein
ubhre pahaDon ka ek silsila ban chuki thin
wo kya silsila tha
jo ek god se gor tak reshmi tar sa tan gaya
jis pe chalte zamane
KHudawand-e-ala ke ahkaam-e-rahmat uThae hue raqs karte guzarte
to miTTi pe naqsh-o-nigaran-e-gham muskuraate
tujhe yaad aate tujhe yaad karte hue
yun guzarte
ki jaise kisi bhed-bhao bhari chandni-raat se
chand ka bankpan
baadalon ke laDakpan ke gale uDate hue
KHwab-labrez pariyon se chhup chhup ke guzre
ye dikhne dikhane ki sari mashiyyat
ye chhupne chhupane ki sari aziyyat
koi jhelta hai
jo tu ne akele mein jheli
main kitne dinon baad aaya tere panw chhune
hisabaat computer se nikal kar
kise DhunDne ja chuke hain
baDi se baDi baat ko
ek bhigi hui muskurahaT mein kahne ka tujh ko saliqa tha
aadad o alfaz ki bhiD mein
kis qadar main akela hun
tujh ko KHabar hai
ata kar mujhe bhi
koi aisa achchha hunar
phul honTon ke
murda zamane pe rakkhun to
KHushbu teri
gul-badan ban ke jage
tere sans mein sans lene ki rahat
meri yaad ke bagh mein
ek jadu-zada nim-KHwabida shahzadi-e-zindagi ki tarah muntazir hai
yahan apne hone se kis ko mafar hai
koi nind mein jagne ki aziyyat nahin jaanta
apni jannat ka manzar mere malgaje KHwab par khol de
koi shirin-takallum mere zahr mein ghol de
fasla nind aur maut ke darmiyan
apni maujudgi se bana
kar ata mojazati hunar
main to noTon ki ginti mein uljhe zamane ki
wo mail hun
jis pe makkhi bhi aa kar nahin baiThti
Nazm
Usi ke liye
Ali Mohammad Farshi