usi aag mein
mujhe jhonk do
wahi aag jis ne bulaya tha
mujhe ek din dam-e-shoalagi
dam-e-shoalagi mera intizar kiya bahut
kai KHushk lakDiyon shaKHchon, ke hisar mein
jahan barg-o-bar ka Dher tha
dam-e-shoalagi
mujhe ek patte ne ye kaha tha ghamanD se
idhar aa ke dekh
ki is tapida KHumar mein
hamin hum hain
lakDiyon shaKHchon ke hisar mein
yahan aur kaun wajud hai
yahan sirf hum hain ruke hue
kahin aadhe aur
kahin pure pure jale hue
dam-e-shoalagi
hamein jo masarrat-e-raqs thi
tumhein kya KHabar
agar aag tum ko aziz thi
to ye jism kaun si chiz thi
jise tum kabhi na jala sake
wo jo raaz tha pas-e-shoalagi nahin pa sake!
so kaha tha main ne ye ek adh-jale barg se
mujhe dukh bahut hai ki aag ne
mera intizar kiya bahut
magar un dinon
kisi aur tarz ki aag mein
mera jism jalne ki aarzu mein asir tha
magar un dinon main na jal saka
main na jun apni badal saka
magar ab wo aag
ki jis mein tum ne panah li
jahan tum jale
jahan tum ajib si lazzaton se gale mile
usi aag mein mujhe jhonk do
Nazm
Usi aag mein
Rafiq Sandelvi