us samt na jaana jaan meri
us samt ki sari raushaniyan
aankhon ko bujha kar jalti hain
us samt ki ujli miTTi mein
nagin aashaen palti hain
us samt ki subhen sham talak
honTon se zahr ugalti hain
us samt na jaana jaan meri
us samt ke aangan maqtal hain
us samt dahakti galiyon mein
zahrili bas ka jadu hai
us samt mahakti kaliyon mein
kafur ki qatil KHushbu hai
us samt ki har dahliz tale
shamshan hai jalte jismon ka
us samt faza par saya hai
be-mani mubham ismon ka
us samt na jaana jaan meri
us samt ki sari phul-jhaDiyan
barud ki tal mein Dhalti hain
us samt ke patthar raston mein
munh-zor hawaen chalti hain
us samt ki sari raushaniyan
aankhon ko bujha kar jalti hain
us samt ke wahmon mein ghar kar
kho baiThogi pahchan meri
us samt na jaana jaan meri
Nazm
Us samt na jaana jaan meri
Mohsin Naqvi