jis roz dhup nikli
aur log apne apne
ThanDe gharon se bahar
hathon mein Dale
suraj ki samt nikle
us roz tum kahan the
jis roz dhup nikli
aur phul bhi khule the
the sabz bagh raushan
ashjar KHush hue the
patton ki sabz KHushbu
jab sab gharon mein aai
us roz tum kahan the
jis roz aasman par
manzar chamak rahe the
suraj ki siDhiyon par
uDte the Dheron panchhi
aur saf ghaTiyon par
kuchh phul bhi khule the
us roz tum kahan the
jis roz dhup chamki
aur faKHta tumhaare
ghar ki chhaton pe boli
phir mandiron mein aain
KHushbu bhari hawaen
aur nanhe-munne bachche
tab aanganon mein khele
us roz tum kahan the
jis roz dhup nikli
jis roz dhup nikli
aur algani pe Dale
kuchh sukhne ko kapDe
jab apne ghar ki chhat pe
KHamosh main khaDa tha
tanha udas belen
aur dopahar ke panchhi
kuchh mujh se puchhte the
us roz tum kahan the
Nazm
Us roz tum kahan the
Tabassum Kashmiri