اردو हिंदी
Us mez par sar jhukae | Shaahi Shayari
us mez par sar jhukae

Nazm

Us mez par sar jhukae

Saeeduddin

;

ek laDki mujhe sketch kar rahi thi
laDki ki drawing agarche achchhi nahin thi

lekin use is qadar munhamik dekh kar
main bahut mutaassir hua

mujhe KHwahish hui
ki main us laDki ka bosa hi le lun

magar mera dhaD ghaeb tha
meri drawing us laDki se kahin ziyaada behtar thi

aur main us ki chhatiyan banana bhi chahta tha
jo us ke khule hue gareban se jhank rahi thin

lekin mera baqiya jism wahan nahin tha
use shayad jangali jaanwar bhanbhoD rahe hon

drawing mein mamuli dastgah rakhne ke bawajud
laDki ne mere chehre ki udasi ko

bhar pur tariqe se kaghaz par muntaqil kar diya tha
lekin wo mere nichle dhaD ko

bar bar koshish ke bawajud
banane mein nakaam rahi thi

mujhe laga wo mere jism ko
jangali jaanwaron se bachane ki har mumkin koshish kar rahi hai

kya use malum hai
agar wo is kashmakash mein kaamyab rahi

aur mera jism puri tarah bazyab kara saki
to mere hath

sab se pahle
kis chiz ko chhu lena chahenge