wahi ghunchon ki shadabi wahi phulon ki nikhat hai
wahi sair-e-gulistan hai wahi josh-e-masarrat hai
wahi mauj-e-tabassum hai wahi anda-e-fitrat hai
wahi dam-e-taKHayyul hai wahi rang-e-haqiqat hai
wahi subh-o-masa hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
wahi maKHmur raaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
wahi dil-chasp baaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
wahi pur-kaif ghaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
sitaron ki baraaten ab bhi taswir-e-taKHayyul hain
wahi mauj-e-saba hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
ghaTaen ab bhi uThti hain talatum ab bhi hota hai
shagufe ab bhi khilte hain tabassum ab bhi hota hai
anadil ab bhi gate hain tarannum ab bhi hota hai
jawani ab bhi hansti hai takallum ab bhi hota hai
har ek shai KHush-numa hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
tumhaari yaad aise mein satati hai mujhe ab bhi
shab-e-tanhai mein pahron rulati hai mujhe ab bhi
saba ke dosh par aa kar jagati hai mujhe ab bhi
hawas-o-hosh se be-KHud banati hai mujhe ab bhi
tamanna-e-wafa hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
junun-saman nazaron ke taqaze ab bhi hote hain
tamanna ab bhi hoti hai irade ab bhi hote hain
zamana ab bhi hansta hai tamashe ab bhi hote hain
nigahen ab bhi uThti hain ishaare ab bhi hote hain
KHushi dil-ashna hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
rahega yun labon par shikwa-e-jaur-e-KHizan kab tak
sataega bhala nazuk dilon ko ye jahan kab tak
musalsal aazmaish aur paiham imtihan kab tak
main tum se dur rah kar ji sakunga yun yahan kab tak
tamanna kya se kya hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
mujhe din raat rahti hai tumhaari justuju ab bhi
tasawwur mein kiya karta hun tum se guftugu ab bhi
KHuda shahid hai mere dil mein hai ye aarzu ab bhi
ki tum aa jao chashm-e-muntazar ke ru-ba-ru ab bhi
ye KHwahish barha hoti hai lekin tum nahin hotin
baDi rangin faza hoti hai lekin tum nahin hotin
Nazm
Uske nam
Shaukat Pardesi