اردو हिंदी
Uske nam jo mujhe nahin jaanti | Shaahi Shayari
uske nam jo mujhe nahin jaanti

Nazm

Uske nam jo mujhe nahin jaanti

Ahmad Hamesh

;

nahin 'hamesh' aisa mat hone do
abhi to tumhein ism dena hai

us roTi ke TukDe ko
jise duniya bhar ki bhuk se churaya gaya

aur gharibi kis desh ki dew-mala hai
tumhein ism dena hai

naujawani ke dinon ki us umang ko
ya is ke nam ke peD ki TuTi hui ek patti ko

ya adhuri sachchaiyon ke nam par jalai gai kitabon ko
dekho han abhi abhi ek KHayal miTTi par rakkha gaya hai

kahin use la-watan na kar diya jae
mokhon par hansne ke liye bhi to ek hi jaisi hansi rah gai hai

yahan tak ki bijli chali jati hai aur andesha hota hai ki us arse mein main us aawaz mein
billi ke panjon panjon se khurunchne wali saffaki baDh gai ho

ek aadmi ka dil hai ki aasani se nahin manta
warna auraton galiyon se kutte billi to mar hi jate hain

ye jaante hue bhi ki mohabbat ko adakariyon se bachae rakhne ke liye tumhein intizar karna hai