sahar hui to kisi ne uTh kar
lahu mein tar ek surKH buTi
baDi karahat se
aasman ke faraKH aangan mein phenk di aur
tawil matli ki jaan-lewa si kaifiyat se najat pai
magar falak ke faraKH aangan mein
baadalon ke safed sag us ke muntazir the
jhapaT paDe us lahu mein tar dil ke lothaDe par
jhapaT paDe ek dusre par
zamin ke logon ne der tak ye laDai dekhi
safed kutton ke surKH jabDe
lahu mein tar ek lal TukDa darida suraj
haris giraate baadalon ka tawil gahra muhib dukhDa
meri zamin bhi to gosht ka lothDa thi jis ko
kisi ne andhe KHala mein phenka
magar na koi bhi us pe jhapTa
tab us ke andar se aae bahar
usi ke dushman
usi ki bu par
hazaron KHunKHar tund kutte
haris jabDe
aur ab darida zamin sari
Tapakte girte lahu ke qatron mein ris rahi hai
KHud apne KHunKHar tund bachchon ke tez jabDon mein pis rahi hai
Nazm
Uske dushman
Wazir Agha