wo muntazir thi
hazar sadiyon se muntazir thi
main ek zarra
hawa ke rath par sawar, hansta hua
KHalaon mein gungunata
hazar-ha sal ke sabhi hadson ki garmi ragon mein bhar kar
ghane daraKHton ke narm sayon mein aa ke utra
wo muntazir thi
mujhe thakan se niDhaal dekha
to khilkhila kar lipaT gai mujh se be-tahasha
mere badan ko wo rang baKHsha
ki KHushbuon mein nahain pagDanDiyan suhani
wo nur mujh ko ata kiya
jagmaga gain jangalon ki tanhaiyan purani
hazar sadiyan guzar chuki hain
main aaj KHud ko Dubo chuka hun hayat ke
KHair o shar mein yaksar
magar wo ab bhi pukarti hai mere lahu ko
mere janam ki wo muntazir hai
hazar sadiyon se muntazir hai
Nazm
Us ka dukh
Kumar Pashi