ek hai aisi laDki jis se tum ne hans kar baat na ki
kabhi na dekha us ki aankhon mein chamke kaise moti
kabhi na socha tum se aisi baaten wo kyun kahti hai
kabhi na samjha milte ho to ghabrai kyun rahti hai
kaise us ruKHsar ki rangat sarson jaisi zard hui
jab tak mili nahin thi tum se wo aisi tanha to na thi
mil kar aankh bahane se wo kab tak aansu rokegi
us ke honTon ki larzish bhi tum ne kabhi nahin dekhi
kyun aisi sunsan saDak par use akela chhoD diya
us ka dil to achchha dil tha jis ko tum ne yun toD diya
wo kuchh nadim wo kuchh hairan rasta DhunDa karti thi
Dhalti dhup mein apna be kal saya dekh ke hansti thi
aaKHir suraj Dub gaya aur rah mein us ko sham hui
Nazm
Us ka dil to achchha dil tha
Fahmida Riaz