اردو हिंदी
Urdu zaban | Shaahi Shayari
urdu zaban

Nazm

Urdu zaban

Shayar Ali Shayar

;

charcha har ek aan hai urdu zaban ka
girwida kul jahan hai urdu zaban ka

is lashkari zaban ki azmat na pochhiye
azmat to KHud nishan hai urdu zaban ka

gumnamiyon ki dhup mein jalta nahin kabhi
jis sar pe saeban hai urdu zaban ka

mashriq ka gulsitan ho ki maghrib ka aashiyan
viran kab makan hai urdu zaban ka

'sauda' wa 'mir' wa 'ghaalib' wa 'iqbaal' dekh lo
har ek pasban hai urdu zaban ka

urdu zaban mein hai ghuli shahd ki miThas
lahja bhi mehrban hai urdu zaban ka

tarwij de raha hai jo urdu zaban ko
be shak wo baghban hai urdu zaban ka

mehman kah raha hai baDa KHush-nasib hai
jo shaKHs mezban hai urdu zaban ka

logo kahin bhi is mein pas-o-pesh kuchh nahin
ek mo'tarif jahan hai urdu zaban ka

boli hai rabte ki yahi joDti hai dil
har dil mein aisa man hai urdu zaban ka

wusat-pazir daman-e-urdu hai aaj bhi
har gosha ek jahan hai urdu zaban ka

karta hai aabiyari lahu se adib jo
wo dil hai jism-o-jaan hai urdu zaban ka

aain rukawaTen jo taraqqi mein is ki kuchh
samjho ye imtihan hai urdu zaban ka

paega jald manzil-e-maqsud bil-yaqin
jari jo karwan hai urdu zaban ka

izzat suKHanwaran-e-adab ki isi hai
'shaer' bhi tarjuman hai urdu zaban ka