اردو हिंदी
Urdu | Shaahi Shayari
urdu

Nazm

Urdu

Anjum Azmi

;

zindagi bhes badal kar jahan fan banti hai
'mir'-o-'ghaalib' ka wo andaz-e-bayan hai urdu

kabhi karti hai sitaron se bhi aage manzil
chashm-e-iqbaal se goya nigaran hai urdu

sath insha ke kabhi hansti hai dil khol ke wo
bahr-e-fani kabhi masruf fughan hai urdu

hasil-e-bazm hai aur bazm ko taDpati hai
jaan-e-mai-KHana hai maiKHana-e-jaan hai urdu

gah parwane ki mayyat pe khaDi milti hai
surat-e-shama jahan girya-kunan hai urdu

gah KHushiyon ke chaman-zar mein ja basti hai
mausam-e-gul ki jahan ruh-e-rawan hai urdu

mahw-e-gul-gasht jahan hur-e-bahishti mil jae
qabil-e-rashk wo gulzar-e-jinan hai urdu

har ghazal kucha-e-jaanan se ziyaada pyari
har nazar sher hai taswir-e-butan-e-urdu

har nai nazm nae moD pe le jati hai
ruh-e-imroz hai farda ka nishan hai urdu

dhul gai kausar-o-tasnim ke pani se magar
jannat-e-arz ki mazlum zaban hai urdu

baghban mujh ko ijazat ho to ek baat kahun
naghma bulbul ka hai phulon ki zaban hai urdu

milte hain is se hazaron hamein tahzib ke daras
is qadar zehn pe kyun tere garan hai urdu

ab bhi chha jati hai har ruh pe masti ban kar
is KHarabi mein bhi afsun-e-jawan hai urdu