main urdu hun
mujhe ghairon se kya KHatra
kabhi dushman se hota hi nahin KHatra kisi ko bhi
sabab tum bhi samajhte ho
ki dushman har ghaDi har pal
muqabil hi raha karta hai dushman ke
muqabil se to maidanon mein akasr jang hoti hai
natija jang ka tum bhi samajhte ho
mahaz-e-jang pur-KHatar hai nahin hota
shikast-o-fath hoti hai
to phir KHatra kahan se hai
suno rudad-e-gham
dil tham kar sunna zara logo
mujhe KHatra hai apnon se
mujhe KHatra hai shair aur danish-war adibon se
mujhe naqqad se KHatra muhaqqiq se mujhe KHatra
ye sare log wo hain jo talluq se mere ab tak
zamin se arsh tak
dawe to karte hain bulandi ke
muhafiz KHud ko urdu ka kaha karte hain ye akasr
ye dawa sab baja lekin
koi puchhe zara un se
tumhaare pyare bachchon mein koi aisa bhi bachcha hai
ki jis ko aap ne urdu se bahra-war kiya ab tak
agar koi ye puchhega
shikan mathe pe aaegi nafi mein sar jhukaenge
yahi qatil to hain mere
yahi to mere apne hain
unhen se mujh ko KHatra hai
unhen pahchan lo logo
unhen pahchan lo logo
Nazm
Urdu
Shams Ramzi