jabin-e-waqt par kaisi shikan hai hum nahin samjhe
koi kyun kar harif-e-ilm-o-fan hai hum nahin samjhe
kisi bhi shama se be-zar kyun ho koi parwana
ye kya is daur ka diwana-pan hai hum nahin samjhe
bahut samjhe the hum is daur ki firqa-parasti ko
zaban bhi aaj shaiKH-o-barhaman hai hum nahin samjhe
agar urdu pe bhi ilzam hai bahar se aane ka
tu phir hindostan kis ka watan hai hum nahin
chaman ka husn to har rang ke phulon se hai 'rashid'
koi bhi phul kyun nang-e-chaman hai hum nahin samjhe
Nazm
Urdu
Rashid Banarasi