apne munh se kah rahi hai saf urdu ki zaban
maulid-o-mawa hai mera kishwar-e-hindostan
is ke afal-o-rawabit de rahe hain KHud nishan
kis tarah paida hui kyun kar baDhi pal kar yahan
roz afzun husn ka har daur ek sayyara hai
hai dabistan lucknow dilli agar gahwara hai
muddaton sarkar-e-dehli mein rahi ye baryab
ab tak urdu-e-mualla hai wahi shahi KHitab
daur-daura lucknow mein bhi tha qabl-az-inqalab
kar liya tha nukta-sanjon ne isi ko intiKHab
har ada-shirin mazaq-e-parsa-o-rind mein
us ka tuti bolta tha sabza-zar-e-hind mein
tajribe ki aankh se dekha jo is ko honhaar
company ne kar liya apna sharik-e-karobar
daftaron mein mahakmon mein baDh gaya uzw-e-waqar
jam gaya chalte hue sikkon pe naqsh-e-e'tibar
jab queen-wictoriya ki ye saheli ho gai
har zaban duniya mein is ki phir to cheli ho gai
farsi hindi ki aamezish se hai is ka wajud
yaadgar-e-ittihad-e-ahl-e-islam-o-hanud
dhup chhan ke rang ki hai wo qaba-e-hast-o-bud
kar-gah-e-hind se mansub jis ke tar-o-pud
suft-o-sangin ya libas-e-ariyat barik hai
jama-zebi se qad-e-mauzun par is ke Thik hai
thi mah-e-nau rafta rafta mah-e-kaamil ban gai
shairana mahfilon mein sham-e-mahfil ban gai
husn-e-fitrat ki ada-fahmi ke qabil ban gai
jab zaban ki tez nashtar se rag-e-dil ban gai
kya qayamat hai ki dil par kuchh asar lete nahin
ho raha hai KHun is ka tum KHabar lete nahin
khinch do uTh kar qawaid se hisar-e-afiyat
mil ke sab tayyar kar do jama o mane lughat
dekhte ho aae din jo ho rahi hai is ki gat
ek imarat hai hawa par ho muallaq jis ki chhat
is tarah ilmi sutunon par ise qaem karo
zalzala kaisa hi saKHt aae magar jumbish na ho
har zaban ka lafz khap jae ye wusat is mein hai
har lughat ke jazb kar lene ki taqat is mein hai
brij-bhasha mein hai jo lazzat wo lazzat is mein hai
saf qand-e-farsi ki bhi halawat is mein hai
ras juz shir-o-shakar koi nahin is ko KHurish
do zabanen chus kar pai hai is ne parwarish
Nazm
Urdu-e-mualla
Safi Lakhnavi